Wednesday, May 19, 2010

my love... my soul... my work... my words... my inspiration... my frnd... my world... myself... all dedicated 2 u... only u r in my heart...!
kisi ki muskurahton pe ho nisaar... kisi ka dard mil sake to le udhAar... kisi k waaste ho tere dil me pyar....... JEENA ISI KA NAAM HAI......!!! :-)
haan aaj sharm se mera sir jhukta hai..is baat ko soch kar,ki main bhi khud ko insaan kehta hoon aur shayad dusro ko peeche choD kar khud ko aage le jaata hoon.

magar ..ab nahi hai mujhe is raah par chalna,apni insaniyat ko khudgarzi ke liye bechna khud ko kho kar nahi hain mujhe jeena,

ek kosish zaroor karunga,
zindagi ko jeene ke aihmiyat dekar jeeyunga.
IRAADE BULAND HO TO NAMUMKIN KUCH NA HOGA,AAJ SITARE HEIN DAMAN MEIN TO KAL CHAND BHI HOGA.
Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha,Saath na chhodo hamara tumse ye he iltaja,Tumhare saath rehkar hum bhi muskurane lage the,Tum jab humein bayan karke logon ko hasane lage the,Ab pad chuki hai aadat hamein muskurane ki,Bhala har gham ko saza kyun ho rulane ki,Ye sunkar humne ghamon ko gale se lagaya,Phir kai mehfilon mein humne logon ko hansaya.
Hamari galti ye ki humne matlab se pyar nahi kiya,Ya ye thi galti ki apni zuban se dilo par vaar nahi kiya,Ek bar basaya jisko b dil me to use kabi bahar nahi kiya,Shayad ye thi galti ke sab pe vishwas kiya to kuch acha nahi kiya,Apno ya gairon ki chodiye humne to mazhab ka bhi fark nahi kiya,...Thokar khakar b muskuraye aur muft mein gam bhi paya,Phir b hai khushnasibi apni k hume pyar karna aise hi aaya.
Hum jo the woh ab rahe nahin, Ab jo hein woh hum huwe nahin,Kaise dorahe se guzarti hai zindagi,Kal kya the, kal kya honge aur aaj ki kuch khabar nahin.
ZINDAGI KI BAHARON KA EK HAK MUJHKO BHI HAI,JEENE NIKLA HOON PHOOL BANKAR,MEHEKNE KA HAK MUJHKO BHI HAI,PHIR MURJHAKAR RAHOONGA KITAAB-E-ISHQ MEIN,GULAB HOON EK BAAR KHILNE KA HAK MUJHKO BHI HAI.